Yeh jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kyaa kitaab hai
kahin ek haseen saa Khvaab hai kahin jaan-levaa azaab hai [azaab=torment/anguish] kahin chhaanv hai kahin dhoop hai kahin aur hi koi roop hai
kayi chehare is mein chupe hue ik ajeeb si yeh naqaab hai kahin kho diyaa kahin paa liyaa kahin ro liyaa kahin gaa liyaa
kahin cheen leti hai har Khushi kahin meharabaan behisaab hai kahin aasoon ki hai daastaan kahin muskuraahaton ka bayaan
kahin barqaton ki hai baarishen kahin tishnagii behisaab hai [bayaa.N=tale; barqat=prosperity/good fortune; tishnagii=thirst]
Yeh jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kyaa kitaab hai ...
Labels: Ghazals |
beautiful... i just love this ghazal.. *smiles*