Yeh sheeshe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage kise kyaa khabar hai kahaan toot jaayen mohabbat ke dariyaa mein tinake vafaa ke na jaane ye kis mod par doob jaayen
ajab dil ki basti ajab dil ki vaadii har ek mod mausam nayi khvaahishon kaa lagaaye hain hum ne bhi sapnon ke paudhe magar kya bharosa yahaan baarishon kaa
muraadon ki manzil ke sapnon mein khoye mohabbat ki raahon pe hum chal pade the zaraa door chal ke jab aankhen khuli tho kadi dhoop mein hum akele khade the
jinhen dil se chaaha jinhen dil se pooja nazar aa rahe hain vahi ajanabi se ravaayat hai shaayad ye sadiyon puraani shikaayat nahin hai koi zindagii se
Labels: Ghazals |
hey, how are you doing..? hope things are great at your end...
Nice Ghazal... it reminds me of Kagaz ki kashti...
Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani